Mantoiyat Lyrics – Manto Song by Raftaar | New Movie



Mantoiyat Lyrics – Manto Song by Raftaar:

The amazing song that has some really nice lyrics, is sung, written and composed by Raftaar and features Nawazuddin Siddiqui in the role of Manto. “Manto” is a film based on the life of Saadat Hasan Manto, directed by Nandita Das.

Vocals – Raftaar, Nawazuddin Siddiqui
Lyrics – Raftaar, Saadat Hasan Manto
Film written & directed by – Nandita Das
Music – Raftaar|
Music Label – Zee Music Company


                                      
Mantoiyat Lyrics Raftaarrr… (Manto) Sawaal yeh hai ki Jo cheez jaisi hai Usey waise hi pesh kyu na kiya jaaye Main toh bus aapni kahaaniyon ko Ek aaina samjata hoon Jisme samaaj apne aapko dekh sake..

(Raftaar) Aaina na dekhna chahe samaaj mera Puche mera kal na dekhte yeh aaj mera Khodate kharodate yeh meri galatiyan Main bhi chal diya Meri soch pe hai raj mera Kaan band, aankhe band, inke muh pe taale Inpe zor na ki satya pe prakash daale
Bole sach jo uske chehre pe tezaab daale Ghoome phir khule mein Aur jale jo woh nakaab daale Off off off hai, dimag sabka off hai Zamaana kya kahega Iska hi toh sabko khauff hai Daabke jeete hai Daabane ke yeh aadhi hai SE nishedh hai toh itni kyu abaadi hai Log yeh hai aatma se khokhle Khud kare toh thik baaki.. galat Dogale!
Gaali de doon Hindi mein toh Bole aisa kyun kiya F**k kyun hai cool Jaane galat kyu hai ch***ya (Manto) Kya iss tarah ke alfaz Humein sadako pe sunayi nahi padte.
Manto ek insaan hai.. (x4) Mujh par ilzaam hai.. (x3) Manto ek insaan hai (Raftaar) Jaat mein yeh baatate hai Baat ke yeh kaatate hai Katne waale khat pe hai Inki mauj raat mein hai Laal batti wali gaddi Glass inke hath mein hai Rajneeti mein hai chor Police inke sath mein
Meri baate tumhko sach nahi lagti Sacchi baate tumko yara pach nahi sakti Mujhse na-samajh hain dugne meri age ke Ek pair kabr me ye bhookhe hain dahej ke Betiyon ko maarte Betiyan naa paalte Betiyon pe dusro ki nazare gandi daalte Ladkiyan patake unko bandi bolte hai Aur jo raazi na ho unko

saale r**di bolte hain Baap roz maa pe thos hath jo uthayega Bezuban bolne se pehle seekh jaayega Mard tab banega jab tu auratein dabaayega Soch yeh rahi toh jaldi desh doob jaayega (Manto) Main us society ki choli kya utaarunga Jo pehle se hi nangi hai Usey kapde pehnana mera kaam nahi hai Main

kaali takhti par Safed chalk istamaal karta hoon Taaki kaali takti aur numaya ho jaaye Manto ek insaan hai (Raftaar) Maine ghanto padha hai tumko Manto Tumhare jaisa banu kare mera maan toh Inn bando ko sach nahi dikhta Sattar saal azaadi ke Sach aaj bhi nahi bikta (Manto) Agar aap meri kahaaniyon ko Bardasht nahi kar sakte Toh iska matlab yeh hai Ki ye zamaana hi naqabil-e-bardasht hai

Share this

Previous
Next Post »